doob kar ubharne mein der kitni lagti hai
raat ke guzarne mein der kitni lagti hai
chunariyon mein choodi mein rang kitne bhaate hain
rang ke utarne mein der kitni lagti hai
maa ke pet mein baccha rom rom badhta hai
aadmi ko marne mein der kitni lagti hai
ghar ko ghar banaane mein umr beet jaati hai
phir makaan girne mein der kitni lagti hai
ungliyon ki poron mein kirchiyaan utarti hain
kaanch ke bikharna mein der kitni lagti hai
umr kaise dhalti he maut kaise palati hai
chaar din guzarne mein der kitni lagti hai
shaakh ki hatheli par phool muskurata hai
phool ke bikharna mein der kitni lagti hai
dosti ke rishte par jab sawaal uthata hai
dost ko mukarne mein der kitni lagti hai
umr bhar ke saathi jab raaste badalte hain
umr ko guzarne mein der kitni lagti hai
maslahat ke parde ki umr kitni hoti hai
ye naqaab utarne mein der kitni lagti hai
ek sar ki chadar ho aur paanv mein chappal
apne saj sanwarne mein der kitni lagti hai
डूब कर उभरने में देर कितनी लगती है
रात के गुज़रने में देर कितनी लगती है
चुनरियों में चूड़ी में रंग कितने भाते हैं
रंग के उतरने में देर कितनी लगती है
माँ के पेट में बच्चा रोम रोम बढ़ता है
आदमी को मरने में देर कितनी लगती है
घर को घर बनाने में उम्र बीत जाती है
फिर मकान गिरने में देर कितनी लगती है
उँगलियों की पोरों में किर्चियाँ उतरती हैं
काँच के बिखरने में देर कितनी लगती है
उम्र कैसे ढलती हे मौत कैसे पलती है
चार दिन गुज़रने में देर कितनी लगती है
शाख़ की हथेली पर फूल मुस्कुराता है
फूल के बिखरने में देर कितनी लगती है
दोस्ती के रिश्ते पर जब सवाल उठता है
दोस्त को मुकरने में देर कितनी लगती है
उम्र भर के साथी जब रास्ते बदलते हैं
उम्र को गुज़रने में देर कितनी लगती है
मस्लहत के पर्दे की उम्र कितनी होती है
ये नक़ाब उतरने में देर कितनी लगती है
एक सर की चादर हो और पाँव में चप्पल
अपने सज सँवरने में देर कितनी लगती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shahnaz Parveen Sahar
our suggestion based on Shahnaz Parveen Sahar
As you were reading Dost Shayari Shayari