saada-dili ka meri kuchh to khayal kar lo
ham to bichhad rahe hain ab to sawaal kar lo
kuchh rah gaya ho baaki poori kasar vo kar lo
jo man nahin bhara to jeena muhaal kar lo
dushman bana zamaana apnon se kya umeedein
aakar ke tum bhi mujhko so paayemaal kar lo
chupchaap main rahoongi uf tak nahin karungi
tum zindagi mein mere aakar bawaal kar lo
jab se mile hain ham tum hoti rahi hain anban
jaate hue mere dil ab to kamaal kar lo
सादा-दिली का मेरी कुछ तो ख़याल कर लो
हम तो बिछड़ रहे हैं अब तो सवाल कर लो
कुछ रह गया हो बाक़ी पूरी कसर वो कर लो
जो मन नहीं भरा तो जीना मुहाल कर लो
दुश्मन बना ज़माना अपनों से क्या उमीदें
आकर के तुम भी मुझको सो पाएमाल कर लो
चुपचाप मैं रहूँगी उफ़ तक नहीं करूँगी
तुम ज़िंदगी में मेरे आकर बवाल कर लो
जब से मिले हैं हम तुम होती रही हैं अनबन
जाते हुए मेरे दिल अब तो कमाल कर लो
As you were reading Shayari by Shivpriya Nagpuri
our suggestion based on Shivpriya Nagpuri
As you were reading undefined Shayari