kai andheron ke milne se raat banti hai
aur is ke ba'ad charaagon ki baat banti hai
kare jo koi to mismar hi nahin hoti
na jaane kaun se mitti ki zaat banti hai
banata hoon main tasavvur mein us ka chehra magar
har ek baar nayi kaayenaat banti hai
akela mujh ko bana hi nahin saka koi
banaane baitho to tanhaai saath banti hai
कई अँधेरों के मिलने से रात बनती है
और इस के बा'द चराग़ों की बात बनती है
करे जो कोई तो मिस्मार ही नहीं होती
न जाने कौन से मिट्टी की ज़ात बनती है
बनाता हूँ मैं तसव्वुर में उस का चेहरा मगर
हर एक बार नई काएनात बनती है
अकेले मुझ को बना ही नहीं सका कोई
बनाने बैठो तो तन्हाई साथ बनती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tarkash Pradeep
our suggestion based on Tarkash Pradeep
As you were reading Yaad Shayari Shayari