jaane waale se raabta rah jaaye
ghar ki deewaar par diya rah jaaye
ik nazar jo bhi dekh le tujh ko
vo tire khwaab dekhta rah jaaye
itni girhen lagi hain is dil par
koi khole to kholta rah jaaye
koi kamre mein aag taapta ho
koi baarish mein bheegta rah jaaye
neend aisi ki raat kam pad jaaye
khwaab aisa ki munh khula rah jaaye
jheel saif-ul-mulook par jaaun
aur kamre mein camera rah jaaye
जाने वाले से राब्ता रह जाए
घर की दीवार पर दिया रह जाए
इक नज़र जो भी देख ले तुझ को
वो तिरे ख़्वाब देखता रह जाए
इतनी गिर्हें लगी हैं इस दिल पर
कोई खोले तो खोलता रह जाए
कोई कमरे में आग तापता हो
कोई बारिश में भीगता रह जाए
नींद ऐसी कि रात कम पड़ जाए
ख़्वाब ऐसा कि मुँह खुला रह जाए
झील सैफ़-उल-मुलूक पर जाऊँ
और कमरे में कैमरा रह जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tehzeeb Hafi
our suggestion based on Tehzeeb Hafi
As you were reading Ghar Shayari Shayari