kya khabar us raushni mein aur kya kya roshan hua
jab vo in haathon se pehli baar roshan roshan hua
vo mere seene se lag kar jisko roi vo kaun tha
kiske bujhne par aaj mai uski jagah roshan hua
tere apne teri kirano ko tarsate hain yahan
tu ye kin galiyon mein kin logo mein ja roshan hua
ab us zaalim se is kasrat se tofe aa rahe hain
ki ham ghar mein nayi almaariyaan banwa rahe hain
hame milna to in aawaadiyon se door milna
use kehna gaye vakton mein ham dariya rahe hain
bichhad jaane ka socha to nahin tha hamne lekin
tujhe khush rakhne ki koshish mein dukh pahuncha rahe hain
क्या खबर उस रौशनी में और क्या क्या रोशन हुआ
जब वो इन हाथों से पहली बार रोशन रोशन हुआ
वो मेरे सीने से लग कर जिसको रोइ वो कौन था
किसके बुझने पर आज मै उसकी जगह रोशन हुआ
तेरे अपने तेरी किरणो को तरसते हैं यहाँ
तू ये किन गलियों में किन लोगो में जा रोशन हुआ
अब उस ज़ालिम से इस कसरत से तौफे आ रहे हैं
की हम घर में नई अलमारियां बनवा रहे हैं
हमे मिलना तो इन आवादियों से दूर मिलना
उसे कहना गए वक्तों में हम दरिया रहे हैं
बिछड़ जाने का सोचा तो नहीं था हमने लेकिन
तुझे खुश रखने की कोसिस में दुःख पंहुचा रहे हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tehzeeb Hafi
our suggestion based on Tehzeeb Hafi
As you were reading Qatil Shayari Shayari