tera chup rahna mere zehan mein kya baith gaya
itni aawaazen tujhe deen ki gala baith gaya
yun nahin hai ki faqat main hi use chahta hoon
jo bhi us ped ki chaanv mein gaya baith gaya
itna meetha tha vo gusse bhara lahja mat pooch
us ne jis ko bhi jaane ka kaha baith gaya
apna ladna bhi mohabbat hai tumhein ilm nahin
cheekhti tum rahi aur mera gala baith gaya
us ki marzi vo jise paas bitha le apne
is pe kya ladna fulan meri jagah baith gaya
baat daryaon ki suraj ki na teri hai yahan
do qadam jo bhi mere saath chala baith gaya
bazm-e-jaanan mein nashisten nahin hoti makhsoos
jo bhi ik baar jahaan baith gaya baith gaya
तेरा चुप रहना मेरे ज़हन में क्या बैठ गया
इतनी आवाज़ें तुझे दीं कि गला बैठ गया
यूँ नहीं है कि फ़क़त मैं ही उसे चाहता हूँ
जो भी उस पेड़ की छाँव में गया बैठ गया
इतना मीठा था वो ग़ुस्से भरा लहजा मत पूछ
उस ने जिस को भी जाने का कहा, बैठ गया
अपना लड़ना भी मोहब्बत है तुम्हें इल्म नहीं
चीख़ती तुम रही और मेरा गला बैठ गया
उस की मर्ज़ी वो जिसे पास बिठा ले अपने
इस पे क्या लड़ना फुलाँ मेरी जगह बैठ गया
बात दरियाओं की, सूरज की, न तेरी है यहाँ
दो क़दम जो भी मेरे साथ चला बैठ गया
बज़्म-ए-जानाँ में नशिस्तें नहीं होतीं मख़्सूस
जो भी इक बार जहाँ बैठ गया बैठ गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tehzeeb Hafi
our suggestion based on Tehzeeb Hafi
As you were reading Duniya Shayari Shayari