ik tira hijr daaimi hai mujhe
warna har cheez arjee hai mujhe
ek saaya mere taakub mein
ek awaaz dhundti hai mujhe
meri aankhon pe do mukaddas haath
ye andhera bhi raushni hai mujhe
main sukhun mein hoon us jagah ki jahaan
saans lena bhi shayari hai mujhe
in parindo se bolna seekha
ped se khaamoshi mili hai mujhe
main use kab ka bhool-bhaal chuka
zindagi hai ki ro rahi hai mujhe
main ki kaaghaz ki ek kashti hoon
pehli baarish hi aakhiri hai mujhe
इक तिरा हिज्र दाइमी है मुझे
वर्ना हर चीज़ आरजी़ है मुझे
एक साया मिरे तआकुब में
एक आवाज़ ढूँडती है मुझे
मेरी आँखो पे दो मुक़दस हाथ
ये अंधेरा भी रौशनी है मुझे
मैं सुख़न में हूँ उस जगह कि जहाँ
साँस लेना भी शायरी है मुझे
इन परिंदो से बोलना सीखा
पेड़ से ख़ामुशी मिली है मुझे
मैं उसे कब का भूल-भाल चुका
ज़िंदगी है कि रो रही है मुझे
मैं कि काग़ज़ की एक कश्ती हूँ
पहली बारिश ही आख़िरी है मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tehzeeb Hafi
our suggestion based on Tehzeeb Hafi
As you were reading Duniya Shayari Shayari