ik vo hamse jo bichhad kar kabhi tanhaa na lage | इक वो हमसे जो बिछड़ कर कभी तन्हा न लगे - ADITYA TIWARI

ik vo hamse jo bichhad kar kabhi tanhaa na lage
aur ik ham ke kabhi phir se shagufta na lage

aah us shab kii sehar jismein bichadna tha hamein
ham tire saath kabhi pehle yun tanhaa na lage

sirf use be-wafa likh doon ye khayal aaya tha
phir ye socha kahin is dil ko hi achha na lage

itna khush bhi nahin ye dil ke bhula de tujhko
par yun gham mein bhi nahin hai ki dobara na lage

uf ke is noor bhare chehre pe kaajal tauba
chaand utar aaye to bhi aap ke jaisa na lage

be-wafaai kii bhi tarteeb sikha di usne
dil bhi is tarah se toda ki shikasta na lage

इक वो हमसे जो बिछड़ कर कभी तन्हा न लगे
और इक हम के कभी फिर से शगुफ़्ता न लगे

आह उस शब की सहर जिसमें बिछड़ना था हमें
हम तिरे साथ कभी पहले यूँ तन्हा न लगे

सिर्फ़ उसे बे-वफ़ा लिख दूँ ये ख़याल आया था
फिर ये सोचा कहीं इस दिल को ही अच्छा न लगे

इतना ख़ुश भी नहीं ये दिल के भुला दे तुझको
पर यूँ ग़म में भी नहीं है कि दोबारा न लगे

उफ़ के इस नूर भरे चेहरे पे काजल तौबा
चाँद उतर आए तो भी आप के जैसा न लगे

बे-वफ़ाई की भी तरतीब सिखा दी उसने
दिल भी इस तरह से तोड़ा कि शिकस्ता न लगे

- ADITYA TIWARI
0 Likes

More by ADITYA TIWARI

As you were reading Shayari by ADITYA TIWARI

Similar Writers

our suggestion based on ADITYA TIWARI

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari