bhanwar ke dard ko jeene laga hoon | भँवर के दर्द को जीने लगा हूँ

  - ADITYA TIWARI

bhanwar ke dard ko jeene laga hoon
main saahil se kinaara chahta hoon

mera dil mujhse ik din kah raha tha
ki main duniya ko behtar jaanta hoon

ab uske deed ka bhi man nahin hai
main ab patthar ko patthar bolta hoon

mera us tak pahunchana ab hai aasaan
main apni raahguzaar se hat gaya hoon

main is masjid ka bhi hoon ek patthar
aur us mandir mein main hi devta hoon

भँवर के दर्द को जीने लगा हूँ
मैं साहिल से किनारा चाहता हूँ

मिरा दिल मुझसे इक दिन कह रहा था
कि मैं दुनिया को बेहतर जानता हूँ

अब उसके दीद का भी मन नहीं है
मैं अब पत्थर को पत्थर बोलता हूँ

मिरा उस तक पहुँचना अब है आसाँ
मैं अपनी रहगुज़र से हट गया हूँ

मैं इस मस्जिद का भी हूँ एक पत्थर
और उस मंदिर में मैं ही देवता हूँ

  - ADITYA TIWARI

More by ADITYA TIWARI

As you were reading Shayari by ADITYA TIWARI

Similar Writers

our suggestion based on ADITYA TIWARI

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari