ab kabhi yaad mujhko aiiyo mat
aur kabhi apne ghar bulaiyo mat
kyun nahin haal-e-dil suna tumne
apna ab haal-e-dil sunaaiyo mat
iltijaa ek hai meri tumse
call meri kabhi lagaiyo mat
main to nakhray bhi sab utha loonga
gair se rishta bas banaiyo mat
ab kisi ka nahin bharosa hai
train mein kuchh bhi leke khaiyo mat
chhod do kitna bhi kahoon tumse
tum mujhe chhod ke so jaiyo mat
अब कभी याद मुझको अइयो मत
और कभी अपने घर बुलइयो मत
क्यों नहीं हाल-ए-दिल सुना तुमने
अपना अब हाल-ए-दिल सुनइयो मत
इल्तिजा एक है मेरी तुमसे
कॉल मेरी कभी लगइयो मत
मैं तो नखरे भी सब उठा लूँगा
ग़ैर से रिश्ता बस बनइयो मत
अब किसी का नहीं भरोसा है
ट्रेन में कुछ भी लेके खइयो मत
छोड़ दो कितना भी कहूँ तुमसे
तुम मुझे छोड़ के सो जइयो मत
As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'
our suggestion based on Vaseem 'Haidar'
As you were reading undefined Shayari