shab-e-mehshar tiri baahon ke talabgaar rahe | शब-ए-महशर तिरी बाहोँ के तलबगार रहे - Vivek Bijnori

shab-e-mehshar tiri baahon ke talabgaar rahe
hum tire apnon mein ho kar bhi to aghyaar rahe

ek main hoon jo hamesha se mukhalif thehra
ek tum ho jo hamesha se taraf-daar rahe

saath ho kar bhi to hum saath nahin hain maano
ek aangan ho magar beech mein deewaar rahe

ek us se hi nahin nibh saka rishta hum se
yun to hum saare zamaane se wafadar rahe

faaeda kya hua jo us ne muafi de di
apni nazaron mein to ta-umr gunahgaar rahe

ek arse se hasi tak nahin aayi hum ko
ek arse se udaasi mein girftaar rahe

film ke ant mein jo jaan ganwa deta hai
hum haqeeqat mein wahi aakhiri kirdaar rahe

शब-ए-महशर तिरी बाहोँ के तलबगार रहे
हम तिरे अपनों में हो कर भी तो अग़्यार रहे

एक मैं हूँ जो हमेशा से मुख़ालिफ़ ठहरा
एक तुम हो जो हमेशा से तरफ़-दार रहे

साथ हो कर भी तो हम साथ नहीं हैं मानो
एक आँगन हो मगर बीच में दीवार रहे

एक उस से ही नहीं निभ सका रिश्ता हम से
यूँ तो हम सारे ज़माने से वफ़ादार रहे

फ़ाएदा क्या हुआ जो उस ने मुआ'फ़ी दे दी
अपनी नज़रों में तो ता-उम्र गुनहगार रहे

एक अर्से से हँसी तक नहीं आई हम को
एक अर्से से उदासी में गिरफ़्तार रहे

फ़िल्म के अंत में जो जान गँवा देता है
हम हक़ीक़त में वही आख़िरी किरदार रहे

- Vivek Bijnori
0 Likes

Narazgi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vivek Bijnori

As you were reading Shayari by Vivek Bijnori

Similar Writers

our suggestion based on Vivek Bijnori

Similar Moods

As you were reading Narazgi Shayari Shayari