main aasmaan pe bahut der rah nahin saka
magar ye baat zameen se to kah nahin saka
kisi ke chehre ko kab tak nigaah mein rakhoon
safar mein ek hi manzar to rah nahin saka
ye aazmaane ki furqat tujhe kabhi mil jaaye
main aankhon aankhon mein kya baat kah nahin saka
sahaara lena hi padta hai mujh ko dariya ka
main ek qatra hoon tanhaa to bah nahin saka
laga ke dekh le jo bhi hisaab aata ho
mujhe ghatta ke vo ginti mein rah nahin saka
ye chand lamhon ki be-ikhtiyaariyaan hain waseem
gunah se rishta bahut der rah nahin saka
मैं आसमाँ पे बहुत देर रह नहीं सकता
मगर ये बात ज़मीं से तो कह नहीं सकता
किसी के चेहरे को कब तक निगाह में रक्खूँ
सफ़र में एक ही मंज़र तो रह नहीं सकता
ये आज़माने की फ़ुर्सत तुझे कभी मिल जाए
मैं आँखों आँखों में क्या बात कह नहीं सकता
सहारा लेना ही पड़ता है मुझ को दरिया का
मैं एक क़तरा हूँ तन्हा तो बह नहीं सकता
लगा के देख ले जो भी हिसाब आता हो
मुझे घटा के वो गिनती में रह नहीं सकता
ये चंद लम्हों की बे-इख़्तियारियाँ हैं 'वसीम'
गुनह से रिश्ता बहुत देर रह नहीं सकता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Waseem Barelvi
our suggestion based on Waseem Barelvi
As you were reading Aawargi Shayari Shayari