rang be-rang hon khushboo ka bharosa jaaye | रंग बे-रंग हों ख़ुशबू का भरोसा जाए

  - Waseem Barelvi

rang be-rang hon khushboo ka bharosa jaaye
meri aankhon se jo duniya tujhe dekha jaaye

ham ne jis raah ko chhodaa phir use chhod diya
ab na jaayenge udhar chahe zamaana jaaye

main ne muddat se koi khwaab nahin dekha hai
haath rakh de meri aankhon pe ki neend aa jaaye

main gunaahon ka taraf-daar nahin hoon phir bhi
raat ko din ki nigaahon se na dekha jaaye

kuchh badi sochon mein ye sochen bhi shaamil hain waseem
kis bahaane se koi shehar jalaya jaaye

रंग बे-रंग हों ख़ुशबू का भरोसा जाए
मेरी आँखों से जो दुनिया तुझे देखा जाए

हम ने जिस राह को छोड़ा फिर उसे छोड़ दिया
अब न जाएँगे उधर चाहे ज़माना जाए

मैं ने मुद्दत से कोई ख़्वाब नहीं देखा है
हाथ रख दे मिरी आँखों पे कि नींद आ जाए

मैं गुनाहों का तरफ़-दार नहीं हूँ फिर भी
रात को दिन की निगाहों से न देखा जाए

कुछ बड़ी सोचों में ये सोचें भी शामिल हैं 'वसीम'
किस बहाने से कोई शहर जलाया जाए

  - Waseem Barelvi

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Waseem Barelvi

As you were reading Shayari by Waseem Barelvi

Similar Writers

our suggestion based on Waseem Barelvi

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari