haveliyon mein meri tarbiyat nahin hoti
to aaj sar pe tapkane ko chat nahin hoti
hamaare ghar ka pata poochne se kya haasil
udaasiyon ki koi shehriyat nahin hoti
charaagh ghar ka ho mehfil ka ho ki mandir ka
hawa ke paas koi maslahat nahin hoti
hamein jo khud mein simatne ka fan nahin aata
to aaj aisi tiri saltanat nahin hoti
waseem shehar mein sacchaaiyon ke lab hote
to aaj khabron mein sab khairiyat nahin hoti
हवेलियों में मिरी तर्बियत नहीं होती
तो आज सर पे टपकने को छत नहीं होती
हमारे घर का पता पूछने से क्या हासिल
उदासियों की कोई शहरियत नहीं होती
चराग़ घर का हो महफ़िल का हो कि मंदिर का
हवा के पास कोई मस्लहत नहीं होती
हमें जो ख़ुद में सिमटने का फ़न नहीं आता
तो आज ऐसी तिरी सल्तनत नहीं होती
'वसीम' शहर में सच्चाइयों के लब होते
तो आज ख़बरों में सब ख़ैरियत नहीं होती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Waseem Barelvi
our suggestion based on Waseem Barelvi
As you were reading Mehfil Shayari Shayari