meri nazar ke saleeke mein kya nahin aata
bas ik teri taraf hi dekhna nahin aata
akela chalna to mera naseeb tha ki mujhe
kisi ke saath safar baantna nahin aata
udhar to jaate hain raaste tamaam hone ko
idhar se ho ke koi raasta nahin aata
jagaana aata hai usko tamaam tareekon se
gharo pe dastaken dene khuda nahin aata
yahaan pe tum hi nahin aas paas aur bhi hain
par us tarah se tumhein sochna nahin aata
pade raho yoon hi sahme hue diyon ki tarah
agar hawaon ke par baandhna nahin aata
मेरी नजर के सलीके में क्या नहीं आता
बस इक तेरी तरफ ही देखना नहीं आता
अकेले चलना तो मेरा नसीब था कि मुझे
किसी के साथ सफर बांटना नहीं आता
उधर तो जाते हैं रस्ते तमाम होने को
इधर से हो के कोई रास्ता नहीं आता
जगाना आता है उसको तमाम तरीकों से
घरों पे दस्तकें देने ख़ुदा नहीं आता
यहां पे तुम ही नहीं आस पास और भी हैं
पर उस तरह से तुम्हें सोचना नहीं आता
पड़े रहो यूं ही सहमे हुए दियों की तरह
अगर हवाओं के पर बांधना नहीं आता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Waseem Barelvi
our suggestion based on Waseem Barelvi
As you were reading Sad Shayari Shayari