fikr hi kya balaaen hoti hain
saath maa ki duaaein hoti hain
tum kanize butool ho hi nahin
unke sar par ridaaein hoti hain
ham azaadare shaheh ke seenon mein
dil nahin karbalaaein hoti hain
surjon ko bujhaane nikliin hain
kitni naadaan hawaaein hoti hain
har nafs meri zindagi pe amaan
faatema ki ataaein hoti hain
फिक्र ही क्या बलाएँ होती हैं
साथ माँ की दुआएँ होती हैं
तुम कनीज़े बुतूल हो ही नहीं
उनके सर पर रिदाएँ होती हैं
हम अज़ादारे शैह के सीनों में
दिल नहीं करबलाएँ होती हैं
सूरजों को बुझाने निकलीं हैं
कितनी नादां हवाएँ होती हैं
हर नफस मेरी ज़िंदगी पे 'अमान'
फातेमा की अताएँ होती हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amaan Haider
our suggestion based on Amaan Haider
As you were reading Maa Shayari Shayari