tum se mujhko saccha pyaar nahin hota
mujh se ghazalon ka vyaapaar nahin hota
main apni masti mein dooba hota gar
meri naiya ka majhdhaar nahin hota
nafrat waalon ki hai ye duniyaadaari
ulfat waalon ka sansaar nahin hota
baaki sab kuchh paison se mil jaata hai
qismat ka koi bazaar nahin hota
tum ko sacche dost kahaan mil jaate hain
mera koi jhoota yaar nahin hota
jinke paas zubaan ka khanjar hota hai
unke haathon mein hathiyaar nahin hota
तुम से मुझको सच्चा प्यार नहीं होता
मुझ से ग़ज़लों का व्यापार नहीं होता
मैं अपनी मस्ती में डूबा होता, गर
मेरी नैया का मझधार नहीं होता
नफ़रत वालों की है ये दुनियादारी
उल्फ़त वालों का संसार नहीं होता
बाकी सब कुछ पैसों से मिल जाता है
क़िस्मत का कोई बाज़ार नहीं होता
तुम को सच्चे दोस्त कहाँ मिल जाते हैं
मेरा कोई झूठा यार नहीं होता
जिनके पास जु़बाँ का खंजर होता है
उनके हाथों में हथियार नहीं होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aditya
our suggestion based on Aditya
As you were reading Dillagi Shayari Shayari