sada karta raha hai bas safar koii | सदा करता रहा है बस सफ़र कोई

  - Azhan 'Aajiz'

sada karta raha hai bas safar koii
raha hai door sabse umr bhar koii

udaasi aur tanhaai rahi mujh mein
mujhe khaata raha andar se dar koii

mile koii mujhe meri tarah ka shakhs
khuda ne jo utaara ho agar koii

pade hain jaan ke laale tabaahi hai
saral hai kya muhabbat kii dagar koii

mera bhi haal pooche dekhle mujhko
kare mujh par karam kii ik nazar koii

karoon tazeem qadmon kii sada uske
gali se jo kare teri guzar koii

ki mujh par zulm dhaaye main filisteen hoon
na chhodi zulm dhaane mein kasar koii

badalte manzaron se ilm hota hai
ki hoga haadsa pesh-e-nazar koii

सदा करता रहा है बस सफ़र कोई
रहा है दूर सबसे उम्र भर कोई

उदासी और तन्हाई रही मुझ में
मुझे खाता रहा अन्दर से डर कोई

मिले कोई मुझे मेरी तरह का शख़्स
ख़ुदा ने जो उतारा हो अगर कोई

पड़े हैं जान के लाले तबाही है
सरल है क्या मुहब्बत की डगर कोई

मिरा भी हाल पूछे देखले मुझको
करे मुझ पर करम की इक नज़र कोई

करूँ ताज़ीम क़दमों की सदा उसके
गली से जो करे तेरी गुज़र कोई

कि मुझ पर ज़ुल्म ढाए मैं फ़िलिस्तीं हूँ
न छोड़ी ज़ुल्म ढाने में कसर कोई

बदलते मंज़रों से इल्म होता है
कि होगा हादसा पेश-ए-नज़र कोई

  - Azhan 'Aajiz'

More by Azhan 'Aajiz'

As you were reading Shayari by Azhan 'Aajiz'

Similar Writers

our suggestion based on Azhan 'Aajiz'

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari