tere ghar par bade din baad aaya hoon
gai thi bhool kaise yaad aaya hoon
tere pehle bhi kuchh dukh jhele the maine
so main is baar bhi aabaad aaya hoon
kasar koii nahin chhodi thi tune aur
bharam tera kahoon barbaad aaya hoon
hunar tha usme har ik ko phasaane ka
ghulaami tod kar azaad aaya hoon
safar mein saath har koii nahin hota
bataane ye dharm hamzaad aaya hoon
तेरे घर पर बड़े दिन बाद आया हूँ
गई थी भूल कैसे याद आया हूँ
तेरे पहले भी कुछ दुख झेले थे मैंने
सो मैं इस बार भी आबाद आया हूँ
कसर कोई नहीं छोड़ी थी तूने और
भरम तेरा कहूँ बरबाद आया हूँ
हुनर था उसमे हर इक को फँसाने का
ग़ुलामी तोड़ कर आज़ाद आया हूँ
सफ़र में साथ हर कोई नहीं होता
बताने ये धरम हमज़ाद आया हूँ
As you were reading Shayari by "Dharam" Barot
our suggestion based on "Dharam" Barot
As you were reading undefined Shayari