khila auron ko khaane ka saleeqaa
pata hai muskuraane ka saleeqaa
naye avtaar mein pa gar rahe ho
naya ye gham chhupaane ka saleeqaa
use tha roothna kuchh bhi kahoon to
kahaan milta manaane ka saleeqaa
gaya tha haar arjun jab ladai
diya krishna jitane ka saleeqaa
kabhi to main adhik bhi bol deta
yahi mera jataane ka saleeqaa
खिला औरों को खाने का सलीक़ा
पता है मुस्कुराने का सलीक़ा
नए अवतार में पा गर रहे हो
नया ये ग़म छुपाने का सलीक़ा
उसे था रूठना कुछ भी कहूँ तो
कहाँ मिलता मनाने का सलीक़ा
गया था हार अर्जुन जब लड़ाई
दिया कृष्णा जिताने का सलीक़ा
कभी तो मैं अधिक भी बोल देता
यही मेरा जताने का सलीक़ा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by "Dharam" Barot
our suggestion based on "Dharam" Barot
As you were reading Udas Shayari Shayari