marne ka samaan pada hai baste mein | मरने का सामान पड़ा है बस्ते में

  - Gaurav Singh

marne ka samaan pada hai baste mein
samjho ik shamshaan pada hai baste mein

kis lehje ka sher sunaayein bolo na
ghalib ka deewaan pada hai baste mein

muflis ka tyohaar nahin hota koi
saawan aur ramjaan pada hai baste mein

mera saaya ghoom raha hai duniya mein
au mera insaan pada hai baste mein

kaatil ko aazaad kiya aaropon se
maalik ka eimaan pada hai baste mein

likh rakha hai bhej nahin paaya hoon ab tak
khat mera veeraan pada hai baste mein

मरने का सामान पड़ा है बस्ते में
समझो इक शमशान पड़ा है बस्ते में

किस लहजे का शेर सुनाएं बोलो ना
ग़ालिब का दीवान पड़ा है बस्ते में

मुफ़लिस का त्योहार नहीं होता कोई
सावन और रमजान पड़ा है बस्ते में

मेरा साया घूम रहा है दुनिया में
औ मेरा इन्सान पड़ा है बस्ते में

कातिल को आजाद किया आरोपों से
मालिक का ईमान पड़ा है बस्ते में

लिख रक्खा है भेज नहीं पाया हूँ अब तक
खत मेरा वीरान पड़ा है बस्ते में

  - Gaurav Singh

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gaurav Singh

As you were reading Shayari by Gaurav Singh

Similar Writers

our suggestion based on Gaurav Singh

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari