nahin ilm mujhko yahan pe khud ka ki hota hai mere saath kya | नहीं इल्म मुझको यहाँ पे ख़ुद का कि होता है मिरे साथ क्या

  - Jagveer Singh

nahin ilm mujhko yahan pe khud ka ki hota hai mere saath kya
na khila hai dil mein koii bhi gul hui jab se ek kali khafa

hoon main jiske arzu-o-talab mein deewana ab mujhe gham ye hai
hai ganwaaya us ko jo saamne se talab-zada tha kabhi mera

ana wajh ban gai faasle kii ki kaun aaye manaae ab
use bhi nahin pata main bhi bhool gaya ki kya tha vo mas'ala

tu udaasi odhe to shaam ho meri band aankh kare to raat
tire rang-roop se subah tu meri naazneen meri dilruba

vo yazid to gala kaat ke bhi husain se gaya haar jang
jahaan bhar mein jaana gaya to sirf husain naam se karbala

नहीं इल्म मुझको यहाँ पे ख़ुद का कि होता है मिरे साथ क्या
न खिला है दिल में कोई भी गुल हुई जब से एक कली ख़फ़ा

हूँ मैं जिसके आरज़ू-ओ-तलब में दिवाना अब मुझे ग़म ये है
है गँवाया उस को जो सामने से तलब-ज़दा था कभी मिरा

अना वज्ह बन गई फ़ासले की कि कौन आए मनाए अब
उसे भी नहीं पता मैं भी भूल गया कि क्या था वो मसअला

तू उदासी ओढ़े तो शाम हो मिरी बंद आँख करे तो रात
तिरे रंग-रूप से सुब्ह तू मिरी नाज़नीं मिरी दिलरुबा

वो यज़ीद तो गला काट के भी हुसैन से गया हार जंग
जहाँ भर में जाना गया तो सिर्फ़ हुसैन नाम से कर्बला

  - Jagveer Singh

More by Jagveer Singh

As you were reading Shayari by Jagveer Singh

Similar Writers

our suggestion based on Jagveer Singh

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari