is dariya ko itna to samjhaane de
meri kashti ko bhi kinaare aane de
azaadi se tujh ko mohabbat hai to phir
saare parindo ko apne ghar jaane de
teri aankhon mein ik shaam suhaani hai
us manzar ki ik tasveer banaane de
milta nahin jab tujh ko bhi koi insaaf
apni ghazlon ko aawaaz uthaane de
इस दरिया को इतना तो समझाने दे
मेरी कश्ती को भी किनारे आने दे
आज़ादी से तुझ को मोहब्बत है तो फिर
सारे परिंदो को अपने घर जाने दे
तेरी आँखों में इक शाम सुहानी है
उस मनज़र की इक तस्वीर बनाने दे
मिलता नहीं जब तुझ को भी कोई इंसाफ़
अपनी ग़ज़लों को आवाज़ उठाने दे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz
our suggestion based on Meem Alif Shaz
As you were reading Awaaz Shayari Shayari