mohabbat mein achaanak haar baithe hain
tiri badnazri se bezaar baithe hain
mahalle mein hukoomat karne waale log
dhali jo umr to laachaar baithe hain
ishaare se use kaise bulaaoon main
gali mein pehle se do chaar baithe hain
mohabbat kis tarah jeetegi apni jang
ki har ik mod pe ayyaar baithe hain
kidhar se jaaun main manzil ki jaanib shaaz
girane ko mujhe kuchh yaar baithe hain
मोहब्बत में अचानक हार बैठे हैं
तिरी बदनज़री से बेज़ार बैठे हैं
महल्ले में हुकूमत करने वाले लोग
ढली जो उम्र तो लाचार बैठे हैं
इशारे से उसे कैसे बुलाऊँ मैं
गली में पहले से दो चार बैठे हैं
मोहब्बत किस तरह जीतेगी अपनी जंग
कि हर इक मोड़ पे अय्यार बैठे हैं
किधर से जाऊँ मैं मंज़िल की जानिब शाज़
गिराने को मुझे कुछ यार बैठे हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz
our suggestion based on Meem Alif Shaz
As you were reading War Shayari Shayari