shor mein hoton pe khaamoshi laana behtar
lafzon ko zaaya karne se bachaana behtar
din dhalti hi jab zoja khush ho jaati hai
raat ke aane se pehle ghar jaana behtar
woh aate hi honge ham yah kab tak soche
khud hi ja ke un ko ghar se bulaana behtar
rishton mein to daraaren akshar aa jaati hain
fauran un mein mohabbat hi bharwaana behtar
gehre kohre mein suraj kaise niklega
itni maayusi se baahar aana behtar
sadkon pe chalte rahne se kuchh bhi na hoga
apni aankhon mein ik khwaab sajaana behtar
maa ki duaaein to sacche moti hain arshad
un ke pair ko apne aap dabana behtar
शोर में होटों पे ख़ामोशी लाना बेहतर
लफ़्ज़ों को ज़ाया करने से बचाना बेहतर
दिन ढलते ही जब ज़ोजा ख़ुश हो जाती है
रात के आने से पहले घर जाना बेहतर
वह आते ही होंगे हम यह कब तक सोचे
ख़ुद ही जा के उन को घर से बुलाना बेहतर
रिश्तों में तो दरारें अक्सर आ जाती हैं
फौरन उन में मोहब्बत ही भरवाना बेहतर
गहरे कोहरे में सूरज कैसे निकलेगा
इतनी मायूसी से बाहर आना बेहतर
सड़कों पे चलते रहने से कुछ भी न होगा
अपनी आँखों में इक ख़्वाब सजाना बेहतर
माँ की दुआएँ तो सच्चे मोती हैं 'अरशद'
उन के पैर को अपने आप दबाना बेहतर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz
our suggestion based on Meem Alif Shaz
As you were reading Fantasy Shayari Shayari