khud ko main aisa banaana chahta hoon
muflison ke kaam aana chahta hoon
rasm chahe jo chala lo doston par
main to apna ghar chalaana chahta hoon
duniya mujhko aazmakar thak gai hai
ab main khud ko aazmaana chahta hoon
jiski chaanwon mein panaahen le musafir
ped ik aisa lagana chahta hoon
mujhko fikr-e-farda hai jaane jigar kuchh
isliye main bhi kamaana chahta hoon
nafraton ka daur hai lekin mahoday
prem ka main geet gaana chahta hoon
aapne to dil dukhaaya hai mera par
aapko hardam hansaana chahta hoon
jis gali mein pyaar hi bas pyaar ho ab
us gali mein yaar jaana chahta hoon
narm honton par labon ko daalkar bas
aag dil mein main lagana chahta hoon
shaairon kii mehfilon mein baithkar main
apna bhi jauhar dikhaana chahta hoon
ख़ुद को मैं ऐसा बनाना चाहता हूँ
मुफ़लिसों के काम आना चाहता हूँ
रस्म चाहे जो चला लो दोस्तों पर
मैं तो अपना घर चलाना चाहता हूँ
दुनिया मुझको आज़माकर थक गई है
अब मैं ख़ुद को आज़माना चाहता हूँ
जिसकी छाँओं में पनाहें ले मुसाफ़िर
पेड़ इक ऐसा लगाना चाहता हूँ
मुझको फ़िक्र-ए-फ़र्दा है जाने जिगर कुछ
इसलिए मैं भी कमाना चाहता हूँ
नफ़रतों का दौर है लेकिन महोदय
प्रेम का मैं गीत गाना चाहता हूँ
आपने तो दिल दुखाया है मेरा पर
आपको हरदम हँसाना चाहता हूँ
जिस गली में प्यार ही बस प्यार हो अब
उस गली में यार जाना चाहता हूँ
नर्म होंटों पर लबों को डालकर बस
आग दिल में मैं लगाना चाहता हूँ
शाइरों की महफ़िलों में बैठकर मैं
अपना भी जौहर दिखाना चाहता हूँ
As you were reading Shayari by Kumar Aryan
our suggestion based on Kumar Aryan
As you were reading undefined Shayari