baat ko dil mein dabaye rakhta hoon
aise main khud ko sataaye rakhta hoon
sabz kyun karte ho zakhmon ko mere
jab unhen main hi chhupaaye rakhta hoon
zindagi kii kashti yun chalti hai ab
raabta gham se banaaye rakhta hoon
kya tumhein maaloom hain khud ko faqat
uske abroo se bachaaye rakhta hoon
kar li hai phoolon ne mujhse dooriyaan
chaand ko jabse rijhaaye rakhta hoon
बात को दिल में दबाए रखता हूँ
ऐसे मैं ख़ुद को सताए रखता हूँ
सब्ज़ क्यों करते हो ज़ख़्मों को मेरे
जब उन्हें मैं ही छुपाए रखता हूँ
ज़िंदगी की कश्ती यूँ चलती है अब
राब्ता ग़म से बनाए रखता हूँ
क्या तुम्हें मालूम हैं ख़ुद को फ़क़त
उसके अबरू से बचाए रखता हूँ
कर ली है फूलों ने मुझसे दूरियाँ
चाँद को जबसे रिझाए रखता हूँ
As you were reading Shayari by Lalit Mohan Joshi
our suggestion based on Lalit Mohan Joshi
As you were reading undefined Shayari