is dar se kinaare pe utar jaana tha
qismat mein likha doob ke mar jaana tha
deewaangi le doobi hamein dukh hai ye
us naav se auron ko bhi ghar jaana tha
ham ek musafir the yahan dharti par
ghar thodi banaana tha guzar jaana tha
baitha hoon udaasi ke yahan kab se main
suniye ye khushi mujhko idhar jaana tha
jab se madhu kuchh haath lagi hai mere
sab bhool gaya hoon ki kidhar jaana tha
इस डर से किनारे पे उतर जाना था
क़िस्मत में लिखा डूब के मर जाना था
दीवानगी ले डूबी हमें दुख है ये
उस नाव से औरों को भी घर जाना था
हम एक मुसाफ़िर थे यहाँ धरती पर
घर थोड़ी बनाना था गुज़र जाना था
बैठा हूँ उदासी के यहाँ कब से मैं
सुनिए ये ख़ुशी मुझको इधर जाना था
जब से 'मधु' कुछ हाथ लगी है मेरे
सब भूल गया हूॅं कि किधर जाना था
As you were reading Shayari by Rohit Kumar Madhu Vaibhav
our suggestion based on Rohit Kumar Madhu Vaibhav
As you were reading undefined Shayari