ik ishq baaz ko ye zamaana sahi laga
haan theek hai chalo ye bahaana sahi laga
vo jis tarah se teer chala kar gaya abhi
usse kaho ki aaj nishaana sahi laga
aafaq raushni se chakachauhnd ho sake
kya is sabab mein dasht jalana sahi laga
mujhko khushamdi ki zara si talab nahin
bas aajizon mein naam kamaana sahi laga
jo aalam-e-khayaal haqeeqat samajh rahe
unko zameen ki dhool dikhaana sahi laga
is may-kashi ne khatm kiya ghoont ghoont mein
saaqi tira bhi waqt bachaana sahi laga
ye zindagi udhaar mein hi kharch ho gai
ab baith ke hisaab milaana sahi laga
इक इश्क़ बाज़ को ये ज़माना सही लगा
हाँ ठीक है चलो ये बहाना सही लगा
वो जिस तरह से तीर चला कर गया अभी
उससे कहो कि आज निशाना सही लगा
आफ़ाक़ रौशनी से चकाचौंध हो सके
क्या इस सबब में दश्त जलाना सही लगा
मुझको ख़ुशामदी की ज़रा सी तलब नहीं
बस आजिज़ों में नाम कमाना सही लगा
जो आलम-ए-ख़याल हक़ीकत समझ रहे
उनको ज़मीं की धूल दिखाना सही लगा
इस मय-कशी ने ख़त्म किया घूँट घूँट में
साक़ी तिरा भी वक़्त बचाना सही लगा
ये ज़िंदगी उधार में ही ख़र्च हो गई
अब बैठ के हिसाब मिलाना सही लगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nikhil Tiwari 'Nazeel'
our suggestion based on Nikhil Tiwari 'Nazeel'
As you were reading Zindagi Shayari Shayari