misra-kaari ka fan nahin aaya
giriya zaari ka fan nahin aaya
ab bhi tumko hi duniya kehta hoon
duniya daari ka fan nahin aaya
aur bhi kaam the mujhe yun bhi
so khumaari ka fan nahin aaya
tum se bichhda hoon chain se hoon main
be-qaraari ka fan nahin aaya
munh pe sach bolne kii aadat hai
rishte-daari ka fan nahin aaya
jisse rakhta hoon dil se rakhta hoon
jhoothi yaari ka fan nahin aaya
tum bhi atke rahe wafa par hi
jaan nisaari ka fan nahin aaya
मिसरा-कारी का फ़न नहीं आया
गिरिया ज़ारी का फ़न नहीं आया
अब भी तुमको ही दुनिया कहता हूँ
दुनिया दारी का फ़न नहीं आया
और भी काम थे मुझे यूँ भी
सो ख़ुमारी का फ़न नहीं आया
तुम से बिछड़ा हूँ चैन से हूँ मैं
बे-क़रारी का फ़न नहीं आया
मुँह पे सच बोलने की आदत है
रिश्ते-दारी का फ़न नहीं आया
जिससे रखता हूँ दिल से रखता हूँ
झूठी यारी का फ़न नहीं आया
तुम भी अटके रहे वफ़ा पर ही
जाँ निसारी का फ़न नहीं आया
As you were reading Shayari by Praveen Sharma SHAJAR
our suggestion based on Praveen Sharma SHAJAR
As you were reading undefined Shayari