mere dukh gham-zada ho gaye | मेरे दुख ग़म-ज़दा हो गए - Naresh sogarwal 'premi'

mere dukh gham-zada ho gaye
kya the ham aur kya ho gaye

dil mein bas rah gaye ye khayaal
khwaab saare ada ho gaye

aur isse bura hoga kya
ham ki tum se juda ho gaye

aasmaan se giri thi ye barq
mere hi ghar dhuaan ho gaye

main kabhi jinse jhagda nahin
yaar vo bhi khafa ho gaye

pyaar bharpoor kar nain sake
log vo bhi khuda ho gaye

मेरे दुख ग़म-ज़दा हो गए
क्या थे हम और क्या हो गए

दिल में बस रह गए ये ख़याल
ख़्वाब सारे अदा हो गए

और इससे बुरा होगा क्या
हम कि तुम से जुदा हो गए

आसमाँ से गिरी थी ये बर्क़
मेरे ही घर धुआँ हो गए

मैं कभी जिनसे झगड़ा नहीं
यार वो भी ख़फ़ा हो गए

प्यार भरपूर कर नइँ सके
लोग वो भी ख़ुदा हो गए

- Naresh sogarwal 'premi'
2 Likes

More by Naresh sogarwal 'premi'

As you were reading Shayari by Naresh sogarwal 'premi'

Similar Writers

our suggestion based on Naresh sogarwal 'premi'

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari