aawaara firta baadal hone waala hoon
dheere dheere main paagal hone waala hoon
sardi ki raaton mein toote dil waalon ki
roti yaadon ka kambal hone waala hoon
teri yaadon ka kaala saaya hai mujh par
main ismein kho kar jungle hone waala hoon
khwaabon mein doobe paagal logon ki khaatir
main shayar ban gangaajal hone waala hoon
teri yaadon ke ashkon ko bhar bhar ke main
ab dariya ban ke jal thal hone waala hoon
आवारा फिरता बादल होने वाला हूं
धीरे धीरे मैं पागल होने वाला हूं
सर्दी की रातों में टूटे दिल वालों की
रोती यादों का कंबल होने वाला हूं
तेरी यादों का काला साया है मुझ पर
मैं इसमें खो कर जंगल होने वाला हूं
ख़्वाबों में डूबे पागल लोगों की ख़ातिर
मैं शायर बन गंगाजल होने वाला हूं
तेरी यादों के अश्क़ों को भर भर के मैं
अब दरिया बन के जल थल होने वाला हूं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prit
our suggestion based on Prit
As you were reading Nature Shayari Shayari