mohabbat ye nahin hoti
mohabbat ye nahin hoti ki uski surkh aankhon mein
meri chaahat ka kaajal aab koii rokne paaye
mohabbat ye nahin hoti ki uske lab khulen har soo
o un par zikr mera baarha aaye kabhi jaaye
mohabbat uski zulfo kii zara bheenee sii khushboo hai
hawa ke mand jhonkon ko jo barbas sandla kar de
ya uska meri baahon mein samaakar tootna akshar
meri dhadkan badhaakar phir mujhe apna bana jaaye
"मोहब्बत ये नहीं होती"
मोहब्बत ये नहीं होती कि उसकी सुर्ख़ आँखों में
मेरी चाहत का काजल आब कोई रोकने पाए
मोहब्बत ये नहीं होती कि उसके लब खुलें हर सू
ओ उन पर ज़िक्र मेरा बारहा आए कभी जाए
मोहब्बत उसकी ज़ुल्फों की ज़रा भीनी सी ख़ुशबू है
हवा के मन्द झोंकों को जो बरबस संदला कर दे
या उसका मेरी बाहों में समाकर टूटना अक्सर
मेरी धड़कन बढ़ाकर फिर मुझे अपना बना जाए
As you were reading Shayari by Surendra Bhatia "Salil"
our suggestion based on Surendra Bhatia "Salil"
As you were reading undefined Shayari