bhanwara chaman mein titli se jab guftugoo kare | भँवरा चमन में तितली से जब गुफ़्तुगू करे

  - Shajar Abbas

bhanwara chaman mein titli se jab guftugoo kare
shaakh-e-shajar pe phool nayi aarzoo kare

vo shaahzaadi jannat-e-arzi se aayi hai
deedaar uska jo bhi kare baa wazu kare

dasht-e-waqa mein firta hoon haal-e-zaboon liye
haal-e-zaboon pe mere koi haav-hoo kare

aankhon mein apni tere sajaakar rakhe khyaal
waajib hai har bashar pe teri justuju kare

be-khauf kheench lena shajar ki zabaan ko
vo tumse baat karte mein gar tum ko tu kare

भँवरा चमन में तितली से जब गुफ़्तुगू करे
शाख़-ए-शजर पे फूल नई आरज़ू करे

वो शाहज़ादी जन्नत-ए-अर्ज़ी से आई है
दीदार उसका जो भी करे बा वज़ू करे

दश्त-ए-वग़ा में फिरता हूँ हाल-ए-ज़बूँ लिए
हाल-ए-ज़बूँ पे मेरे कोई हाव-हू करे

आँखों में अपनी तेरे सजाकर रखे ख़्याल
वाजिब है हर बशर पे तेरी जुस्तुजू करे

बे-ख़ौफ़ खींच लेना शजर की ज़बान को
वो तुमसे बात करते में गर तुम को तू करे

  - Shajar Abbas

Tamanna Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Tamanna Shayari Shayari