jaanib-e-koo-e-butaan naqsh-e-qadam badhne lage
qalb-e-muztar ko laga soo-e-haram badhne lage
baagbaan gulshan-e-hasti pe hai ye waqt-e-zawaal
phool par khaaron ke ab zulm-o-sitam badhne lage
husn-e-yoosuf sar-e-bazaar zulekha aaya
leke sab nuqra-o-deenaar-o-dirm badhne lage
parcham-e-ishq liye dast-e-mubaarak mein jawaan
jaanib-e-dast-o-daman mere sanam badhne lage
qalb-e-saaleem mein shajar shauq-e-shahaadat lekar
maqtal-e-ishq ki soo dekhiye ham badhne lage
जानिब-ए-कू-ए-बुताँ नक़्श-ए-क़दम बढ़ने लगे
क़ल्ब-ए-मुज़्तर को लगा सू-ए-हरम बढ़ने लगे
बाग़बाँ गुलशन-ए-हस्ती पे है ये वक़्त-ए-ज़वाल
फूल पर ख़ारों के अब ज़ुल्म-ओ-सितम बढ़ने लगे
हुस्न-ए-यूसुफ़ सर-ए-बाज़ार ज़ुलेख़ा आया
लेके सब नुक़रा-ओ-दीनार-ओ-दिरम बढ़ने लगे
परचम-ए-इश्क़ लिए दस्त-ए-मुबारक में जवाँ
जानिब-ए-दश्त-ओ-दमन मेरे सनम बढ़ने लगे
क़ल्ब-ए-सालिम में शजर शौक़-ए-शहादत लेकर
मक़तल-ए-इश्क़ की सू देखिए हम बढ़ने लगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Rose Shayari Shayari