ulfat se aur ishq-o-mohabbat se door ho | उल्फ़त से और इश्क़-ओ-मोहब्बत से दूर हो - Shajar Abbas

ulfat se aur ishq-o-mohabbat se door ho
shukr-e-khuda karo miyaan aafat se door ho

farhaad qais raanjha ki sohbat se door ho
tanhaaiyon se sehra ki vehshat se door ho

kahte ho khud ko paīroń-e-shabbēr haif hai
mazloom-o-bekason ki himayat se door ho

afsos hai ye hazrat-e-dil mujhko aap par
maqtal mein ishq ke ho shahaadat se door ho

suniye shajar vo sabse bada bad naseeb hai
jo shakhs waliden ki khidmat se door ho

उल्फ़त से और इश्क़-ओ-मोहब्बत से दूर हो
शुक्र-ए-ख़ुदा करो मियाँ आफ़त से दूर हो

फ़रहाद क़ैस राँझा की सोहबत से दूर हो
तन्हाईयों से सहरा की वहशत से दूर हो

कहते हो ख़ुद को पैरों-ए-शब्बीर हैफ़ है
मज़लूम-ओ-बेकसों की हिमायत से दूर हो

अफ़सोस है ये हज़रत-ए-दिल मुझको आप पर
मक़तल में इश्क़ के हो शहादत से दूर हो

सुनिए शजर वो सबसे बड़ा बद नसीब है
जो शख़्स वालिदेन की ख़िदमत से दूर हो

- Shajar Abbas
1 Like

Shajar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Shajar Shayari Shayari