ghazamzada dekh ke seene se lagaane waala | ग़मज़दा देख के सीने से लगाने वाला

  - Shajar Abbas

ghazamzada dekh ke seene se lagaane waala
waqt-e-mushkil mein mere dil ko badhaane waala

dil se rah-rah ke sada aati hai har lamha mere
dekhna aayega ek roz vo aane waala

hoon main masroof-e-ibaadat vo mere khwaab mein hai
hai gunaahgaar suno mujhko jagaane waala

naam pa ishq ke jismoon ki havas mitati hai
ishq ab baaki nahin pehle zamaane waala

khwaab mein khud mere tashreef nahin laata hai
vo bashar jo tha mujhe khwaab dikhaane waala

rakhke sar kaandhe par mujhse vo kaha karta tha
laut kar aata nahin hai koi jaane waala

dekhkar phaile hue kamre ko ye sochta hoon
jaane kab aayega kamre ko sajaane waala

mai agar rootha to ab kaun manaayega mujhe
mujhse rootha hai shajar mujhko manaane waala

ग़मज़दा देख के सीने से लगाने वाला
वक़्त-ए-मुुश्किल में मेरे दिल को बढ़ाने वाला

दिल से रह-रह के सदा आती है हर लम्हा मेरे
देखना आयेगा एक रोज़ वो आने वाला

हूँ मैं मसरूफ़-ए-इबादत वो मेरे ख़्वाब में है
है गुनाहगार सुनो मुझको जगाने वाला

नाम पा इश्क़ के जिस्मों की हवस मिटती है
इश्क़ अब बाक़ी नहीं पहले ज़माने वाला

ख़्वाब में ख़ुद मेरे तशरीफ़ नहीं लाता है
वो बशर जो था मुझे ख़्वाब दिखाने वाला

रखके सर काँधे पर मुझसे वो कहा करता था
लौट कर आता नहीं है कोई जाने वाला

देखकर फैले हुए कमरे को ये सोचता हूँ
जाने कब आयेगा कमरे को सजाने वाला

मै अगर रूठा तो अब कौन मनाएगा मुझे
मुझसे रूठा है शजर मुझको मनाने वाला

  - Shajar Abbas

I love you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading I love you Shayari Shayari