door shehr-e-dil se jab har ik kudoorat ho gai | दूर शहर-ए-दिल से जब हर इक कुदूरत हो गई

  - Shajar Abbas

door shehr-e-dil se jab har ik kudoorat ho gai
dushman-e-jaan se hamein apne muhabbat ho gai

husn-e-mutlaq kii agar tum par inaayat ho gai
to samajh lena mayassar har saadat ho gai

sun ke ye fiqra zamaane bhar ko hairat ho gai
ishq karke zindagaani khoobsurat ho gai

gham-zda giryaa-kunaan hoon main firaq-e-yaar mein
bazm-e-may mein aaunga jis waqt fursat ho gai

waqt ke haakim ko jis par naaz tha vo dekhiye
reza reza lamhon mein takht-o-hukoomat ho gai

husn-e-niswan par kiya jab bhi kisi ne tabsira
us ghadi qalb-e-tapaan par naazil aayat ho gai

dafatan ye shor utha ishq ke maidaan mein
lag raha hai hazrat-e-dil kii shahaadat ho gai

jitne naabeena hain mil jaayegi sab ko raushni
inko gar us chaand se rukh kii ziyaarat ho gai

jism haasil kar nahin paaye mahaaz-e-ishq mein
ishq ke maqtal mein haan dil par hukoomat ho gai

is qadar dhaaye mazaalim aaba-o-ajdaad ne
aaba-o-ajdaad se hamko adavat ho gai

mayqade mein jab parhe hamne masaib hijr ke
mayqade mein ik shajar barpa qayamat ho gai

दूर शहर-ए-दिल से जब हर इक कुदूरत हो गई
दुश्मन-ए-जाँ से हमें अपने मुहब्बत हो गई

हुस्न-ए-मुतलक़ की अगर तुम पर इनायत हो गई
तो समझ लेना मयस्सर हर सआदत हो गई

सुन के ये फ़िक़रा ज़माने भर को हैरत हो गई
इश्क़ करके ज़िंदगानी ख़ूबसूरत हो गई

ग़म-ज़दा गिर्या-कुनाँ हूँ मैं फ़िराक़-ए-यार में
बज़्म-ए-मय में आऊँगा जिस वक़्त फ़ुरसत हो गई

वक़्त के हाकिम को जिस पर नाज़ था वो देखिए
रेज़ा रेज़ा लम्हों में तख़्त-ओ-हुकूमत हो गई

हुस्न-ए-निस्वाँ पर किया जब भी किसी ने तब्सिरा
उस घड़ी क़ल्ब-ए-तपाँ पर नाज़िल आयत हो गई

दफ़अतन ये शोर उट्ठा इश्क़ के मैदान में
लग रहा है हज़रत-ए-दिल की शहादत हो गई

जितने नाबीना हैं मिल जायेगी सब को रौशनी
इनको गर उस चाँद से रुख़ की ज़ियारत हो गई

जिस्म हासिल कर नहीं पाए महाज़-ए-इश्क़ में
इश्क़ के मक़तल में हाँ दिल पर हुकूमत हो गई

इस क़दर ढाए मज़ालिम आबा-ओ-अजदाद ने
आबा-ओ-अजदाद से हमको अदावत हो गई

मयक़दे में जब पढ़े हमने मसाइब हिज्र के
मयक़दे में इक शजर बरपा क़यामत हो गई

  - Shajar Abbas

Hijr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Hijr Shayari Shayari