hamaara naam labon par saja ke roti hai | हमारा नाम लबों पर सजा के रोती है

  - Shajar Abbas

hamaara naam labon par saja ke roti hai
vo ladki roz musalle pe aa ke roti hai

ajeeb haal hai uska hamaari furqat mein
saheliyon ko gale se laga ke roti hai

ai sakhiyon aankh mein kuchh pad gaya hai aaj meri
vo unse aise bahaane bana ke roti hai

jahaan pe milte the ham dono ek dooje se
vo us maqaam pe har shaam ja ke roti hai

hamaare naam ki har saal das december ko
hina hatheli pe apni saja ke roti hai

mere naseeb mein ai dost tera pyaar na tha
ghazal ye gaati hai aur khoob ga ke roti hai

lahu se karti hai tahreer pehle naam mera
phir uske baad use vo mita ke roti hai

tha main qareeb to jaani na usne qadr meri
vo mujhko dekho magar ab ganwa ke roti hai

shajar shajar tha shajar ki tarah nahin hai koi
ye baat sakhiyon ko apni bata ke roti hai

koi na dekh le rota hua shajar usko
diya so kamre ka apne bujha ke roti hai

हमारा नाम लबों पर सजा के रोती है
वो लड़की रोज़ मुसल्ले पे आ के रोती है

अजीब हाल है उसका हमारी फ़ुर्क़त में
सहेलियों को गले से लगा के रोती है

ऐ सखियों आँख में कुछ पड़ गया है आज मेरी
वो उनसे ऐसे बहाने बना के रोती है

जहाँ पे मिलते थे हम दोनों एक दूजे से
वो उस मक़ाम पे हर शाम जा के रोती है

हमारे नाम की हर साल दस दिसम्बर को
हिना हथेली पे अपनी सजा के रोती है

मेरे नसीब में ऐ दोस्त तेरा प्यार न था
ग़ज़ल ये गाती है और ख़ूब गा के रोती है

लहू से करती है तहरीर पहले नाम मेरा
फिर उसके बाद उसे वो मिटा के रोती है

था मैं क़रीब तो जानी न उसने क़द्र मेरी
वो मुझको देखो मगर अब गँवा के रोती है

शजर शजर था शजर की तरह नहीं है कोई
ये बात सखियों को अपनी बता के रोती है

कोई न देख ले रोता हुआ शजर उसको
दिया सो कमरे का अपने बुझा के रोती है

  - Shajar Abbas

Child labour Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Child labour Shayari Shayari