kabhi faraaz kabhi jaun-o-mir aate hain | कभी फ़राज़ कभी जौन-ओ-मीर आते हैं

  - Shajar Abbas

kabhi faraaz kabhi jaun-o-mir aate hain
mere khyaal mein ghalib kabeer aate hain

khuda ke vaaste nazaron se door kar do inhen
ye mere saamne jo be-zameer aate hain

hamaara aise t'arruf karao mehfil mein
vo dekho doston raanjha-o-heer aate hain

hamaare dil ki difa karna ai mere maalik
hamaari simt ko nazaron ke teer aate hain

gar uske gaav chale jaayein nau jawaan shajar
to uski zulfon ke hokar aseer aate hain

कभी फ़राज़ कभी जौन-ओ-मीर आते हैं
मेरे ख़्याल में "ग़ालिब" "कबीर" आते हैं

ख़ुदा के वास्ते नज़रों से दूर कर दो इन्हें
ये मेरे सामने जो बे-ज़मीर आते हैं

हमारा ऐसे त'अर्रुफ़ कराओ महफ़िल में
वो देखो दोस्तों राँझा-ओ-हीर आते हैं

हमारे दिल की दिफ़ा करना ऐ मेरे मालिक
हमारी सिम्त को नज़रों के तीर आते हैं

गर उसके गाँव चले जाएं नौ जवान शजर
तो उसकी ज़ुल्फ़ों के होकर असीर आते हैं

  - Shajar Abbas

Mehman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Mehman Shayari Shayari