sawaal kar ke yun fauran jawaab maangata hai
gulaab deta hai waapas gulaab maangata hai
vo aankhen maange to uske huzoor pesh karoon
magar vo shakhs to aankhon ke khwaab maangata hai
bata rahe hain ye haalaat daur-e-haazir ke
ye daur phir se naya inqilaab maangata hai
ajeeb baat hai har shakhs ab khuda bankar
mere gunaahon ka mujhse hisaab maangata hai
ise to shauq tha raah-e-wafa pe chalne ka
amaan kyun dil-e-khaana-kharaab maangata hai
main khush-naseeb hoon mujhse shajar mera mehboob
hamesha tohfe mein hanskar naqaab maangata hai
सवाल कर के यूँ फ़ौरन जवाब माँगता है
गुलाब देता है वापस गुलाब माँगता है
वो आँखें माँगे तो उसके हुज़ूर पेश करूँ
मगर वो शख़्स तो आँखों के ख़्वाब माँगता है
बता रहे हैं ये हालात दौर-ए-हाज़िर के
ये दौर फिर से नया इंक़िलाब माँगता है
अजीब बात है हर शख़्स अब ख़ुदा बनकर
मिरे गुनाहों का मुझसे हिसाब माँगता है
इसे तो शौक़ था राह-ए-वफ़ा पे चलने का
अमान क्यों दिल-ए-ख़ाना-ख़राब माँगता है
मैं ख़ुश-नसीब हूँ मुझसे 'शजर' मिरा महबूब
हमेशा तोहफ़े में हँसकर नक़ाब माँगता है
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading undefined Shayari