ye kah raha hai zamaana ke ishq jeet gaya | ये कह रहा है ज़माना के इश्क़ जीत गया

  - Shajar Abbas

ye kah raha hai zamaana ke ishq jeet gaya
har ek lab pe hai naara ke ishq jeet gaya

udhar se qais ye bola ke ishq jeet gaya
idhar se main bhi pukaara ke ishq jeet gaya

sada ye dasht se aati hai roz majnoon ki
ye mawzoo rakhna ghazal ka ke ishq jeet gaya

batao ishq ke maqtal mein kya hua murshid
koi jo pooche to kehna ke ishq jeet gaya

kaha ye qais ne ab aane waali naslon ka
har ek baccha kahega ke ishq jeet gaya

adoo sab ishq ke munh ko chhupaaye firte hain
gali gali hai ye charcha ke ishq jeet gaya

kaha ye heer ne leila se muskuraate hue
mubarak aapko leila ke ishq jeet gaya

jo log ishq ke dushman the unki maat hui
muarrikheen ne likkha ke ishq jeet gaya

ye bazm-e-ishq sajaakar sab aashiqan-e-jahan
lo ga rahe hain ye naghma ke ishq jeet gaya

vo qais ho ke janaab-e-shajar ke raanjha ho
sabhi ne raaz ye khola ke ishq jeet gaya

b roz-e-hashr mukammal yaqeen hai mujhko
shajar khuda bhi kahega ke ishq jeet gaya

ये कह रहा है ज़माना के इश्क़ जीत गया
हर एक लब पे है नारा के इश्क़ जीत गया

उधर से क़ैस ये बोला के इश्क़ जीत गया
इधर से मैं भी पुकारा के इश्क़ जीत गया

सदा ये दश्त से आती है रोज़ मजनूँ की
ये मौज़ू रखना ग़ज़ल का के इश्क़ जीत गया

बताओ इश्क़ के मक़तल में क्या हुआ मुर्शीद
कोई जो पूछे तो कहना के इश्क़ जीत गया

कहा ये क़ैस ने अब आने वाली नस्लों का
हर एक बच्चा कहेगा के इश्क़ जीत गया

अदू सब इश्क़ के मुँह को छुपाए फिरते हैं
गली गली है ये चर्चा के इश्क़ जीत गया

कहा ये हीर ने लैला से मुस्कुराते हुए
मुबारक आपको लैला के इश्क़ जीत गया

जो लोग इश्क़ के दुश्मन थे उनकी मात हुई
मुअर्रख़ीन ने लिक्खा के इश्क़ जीत गया

ये बज़्म-ए-इश्क़ सजाकर सब आशिक़ान-ए-जहाँ
लो गा रहे हैं ये नग़्मा के इश्क़ जीत गया

वो क़ैस हो के जनाब-ए-शजर के राँझा हो
सभी ने राज़ ये खोला के इश्क़ जीत गया

ब रोज़-ए-हश्र मुकम्मल यक़ीन है मुझको
शजर ख़ुदा भी कहेगा के इश्क़ जीत गया

  - Shajar Abbas

Gaon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Gaon Shayari Shayari