ye mojiza gulshan mein naya dekh raha hoon
ik phool ke honthon pe dua dekh raha hoon
har roz najoomi main meri khwaab ke andar
ik shakhs ko pankhe se tanga dekh raha hoon
beenaai meri aankhon ki tu kyun nahin jaati
main hote hue usko juda dekh raha hoon
ik hoor hai jo zulf udaati hai hawa mein
aur door se manzar main khada dekh raha hoon
sab kahte hain mujhse ki khuda dekh raha hai
aur main hoon shajar dekho khuda dekh raha hoon
ये मोजिज़ा गुलशन में नया देख रहा हूँ
इक फूल के होंठों पे दुआ देख रहा हूँ
हर रोज़ नजूमी मैं मेरी ख़्वाब के अन्दर
इक शख़्स को पंखे से टँगा देख रहा हूँ
बीनाई मेरी आँखों की तू क्यों नहीं जाती
मैं होते हुए उसको जुदा देख रहा हूँ
इक हूर है जो ज़ुल्फ़ उड़ाती है हवा में
और दूर से मंज़र मैं खड़ा देख रहा हूँ
सब कहते हैं मुझसे कि ख़ुदा देख रहा है
और मैं हूँ शजर देखो ख़ुदा देख रहा हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Phool Shayari Shayari