banda aur khuda | "बन्दा और ख़ुदा" - ZafarAli Memon

banda aur khuda

ek mukhtasar si kahaani hai
jo zafar ki muh-zabaani hai

ye hukoomat aasmaani hai
har makhluq roohani hai

ye khuda ki meherbaani hai
ki sajdon mein jhukti peshaani hai

ye saari duniya faani hai
har shakhs ko maut aani hai

ye insaaniyat ayyaashi ki deewani hai
har shakhs ki dhalti jawaani hai

qudrat ki pakad se koi nahin bacha
ye aa rahe azaab qayamat ki nishaani hai

ye logon ki gumaahi aur badi nadaani hai
ki kahaan oopar khuda ko shakl hamein dikhaani hai

"बन्दा और ख़ुदा"

एक मुख़्तसर सी कहानी है
जो ज़फ़र कि मुँह-ज़बानी है

ये हुकूमत आसमानी है
हर मख़्लूक़ रूहानी है

ये ख़ुदा की मेहरबानी है
की सज्दों में झुकती पेशानी है

ये सारी दुनिया फ़ानी है
हर शख़्स को मौत आनी है

ये इंसानियत अय्याशी की दीवानी है
हर शख़्स की ढलती जवानी है

क़ुदरत की पकड़ से कोई नहीं बचा
ये आ रहे अज़ाब क़यामत की निशानी है

ये लोगों की गुमराही और बड़ी नादानी है
की कहाँ ऊपर ख़ुदा को शक्ल हमें दिखानी है

- ZafarAli Memon
20 Likes

Maut Shayari

Our suggestion based on your choice

More by ZafarAli Memon

As you were reading Shayari by ZafarAli Memon

Similar Writers

our suggestion based on ZafarAli Memon

Similar Moods

As you were reading Maut Shayari Shayari