kyun taammul hai tujhe roz-e-ajal aane mein | क्यों तअम्मुल है तुझे रोज़-ए-अजल आने में

  - Aaftab Rais Panipati

kyun taammul hai tujhe roz-e-ajal aane mein
zeest ka lutf milega mujhe mar jaane mein
na suno qissa-e-aalam tadap jaaoge
dard aur soz bhara hai mere afsaane mein
qalb-e-muztar ko bana rakha hai ghar hirmaan ne
aur kya cheez hai is dil ke siyah-khaane mein
ab chhalakne ko hai saaqi mere jeevan ka gilaas
bhar gaya aab-e-fanaa umr ke paimaane mein
khirman-e-sabr-o-sukoon khaak na ho kyun jal kar
bijliyaan kaund rahi hain mere kaashaane mein
parda-e-jahl utha deejie aankhon se zara
jalwa-e-haqq nazar aayega sanam-khaane mein
aftaab aa ki museebat ke hain aasaar ayaan
josh-e-wahshat hai fuzoon aur bhi deewane mein

क्यों तअम्मुल है तुझे रोज़-ए-अजल आने में
ज़ीस्त का लुत्फ़ मिलेगा मुझे मर जाने में
न सुनो क़िस्सा-ए-आलाम तड़प जाओगे
दर्द और सोज़ भरा है मिरे अफ़्साने में
क़ल्ब-ए-मुज़्तर को बना रखा है घर हिरमाँ ने
और क्या चीज़ है इस दिल के सियह-ख़ाने में
अब छलकने को है साक़ी मिरे जीवन का गिलास
भर गया आब-ए-फ़ना उम्र के पैमाने में
ख़िर्मन-ए-सब्र-ओ-सुकूँ ख़ाक न हो क्यों जल कर
बिजलियाँ कौंद रही हैं मिरे काशाने में
पर्दा-ए-जहल उठा दीजिए आँखों से ज़रा
जल्वा-ए-हक़ नज़र आएगा सनम-ख़ाने में
'आफ़्ताब' आ कि मुसीबत के हैं आसार अयाँ
जोश-ए-वहशत है फ़ुज़ूँ और भी दीवाने में

  - Aaftab Rais Panipati

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Aaftab Rais Panipati

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari