hui hai shaam to aankhon mein bas gaya phir tu | हुई है शाम तो आँखों में बस गया फिर तू

  - Ahmad Faraz

hui hai shaam to aankhon mein bas gaya phir tu
kahaan gaya hai mere shehar ke musaafir tu

meri misaal ki ik nakhl-e-khushk-e-sehra hoon
tira khayal ki shaakh-e-chaman ka taair tu

main jaanta hoon ki duniya tujhe badal degi
main maanta hoon ki aisa nahin b-zaahir tu

hasi-khushi se bichhad ja agar bichadna hai
ye har maqaam pe kya sochta hai aakhir tu

fazaa udaas hai rut muzmahil hai main chup hoon
jo ho sake to chala aa kisi ki khaatir tu

faraaz tu ne use mushkilon mein daal diya
zamaana saahib-e-zar aur sirf shaayar tu

हुई है शाम तो आँखों में बस गया फिर तू
कहाँ गया है मिरे शहर के मुसाफ़िर तू

मिरी मिसाल कि इक नख़्ल-ए-ख़ुश्क-ए-सहरा हूँ
तिरा ख़याल कि शाख़-ए-चमन का ताइर तू

मैं जानता हूँ कि दुनिया तुझे बदल देगी
मैं मानता हूँ कि ऐसा नहीं ब-ज़ाहिर तू

हँसी-ख़ुशी से बिछड़ जा अगर बिछड़ना है
ये हर मक़ाम पे क्या सोचता है आख़िर तू

फ़ज़ा उदास है रुत मुज़्महिल है मैं चुप हूँ
जो हो सके तो चला आ किसी की ख़ातिर तू

'फ़राज़' तू ने उसे मुश्किलों में डाल दिया
ज़माना साहब-ए-ज़र और सिर्फ़ शाएर तू

  - Ahmad Faraz

Shaayar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Faraz

As you were reading Shayari by Ahmad Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Faraz

Similar Moods

As you were reading Shaayar Shayari Shayari