jis samt bhi dekhoon nazar aata hai ki tum ho | जिस सम्त भी देखूँ नज़र आता है कि तुम हो - Ahmad Faraz

jis samt bhi dekhoon nazar aata hai ki tum ho
ai jaan-e-jahaan ye koi tum sa hai ki tum ho

ye khwaab hai khushboo hai ki jhonka hai ki pal hai
ye dhund hai baadal hai ki saaya hai ki tum ho

is deed ki saaat mein kai rang hain larzaan
main hoon ki koi aur hai duniya hai ki tum ho

dekho ye kisi aur ki aankhen hain ki meri
dekhoon ye kisi aur ka chehra hai ki tum ho

ye umr-e-gurezaan kahi thehre to ye jaanoon
har saans mein mujh ko yahi lagta hai ki tum ho

har bazm mein mauzoo-e-sukhan dil-zadgaan ka
ab kaun hai sheerin hai ki leila hai ki tum ho

ik dard ka faila hua sehra hai ki main hoon
ik mauj mein aaya hua dariya hai ki tum ho

vo waqt na aaye ki dil-e-zaar bhi soche
is shehar mein tanhaa koi ham sa hai ki tum ho

aabaad ham aashufta-saron se nahin maqtal
ye rasm abhi shehar mein zinda hai ki tum ho

ai jaan-e-'faraz itni bhi taufeeq kise thi
ham ko gham-e-hasti bhi gawara hai ki tum ho

जिस सम्त भी देखूँ नज़र आता है कि तुम हो
ऐ जान-ए-जहाँ ये कोई तुम सा है कि तुम हो

ये ख़्वाब है ख़ुशबू है कि झोंका है कि पल है
ये धुँद है बादल है कि साया है कि तुम हो

इस दीद की साअत में कई रंग हैं लर्ज़ां
मैं हूँ कि कोई और है दुनिया है कि तुम हो

देखो ये किसी और की आँखें हैं कि मेरी
देखूँ ये किसी और का चेहरा है कि तुम हो

ये उम्र-ए-गुरेज़ाँ कहीं ठहरे तो ये जानूँ
हर साँस में मुझ को यही लगता है कि तुम हो

हर बज़्म में मौज़ू-ए-सुख़न दिल-ज़दगाँ का
अब कौन है शीरीं है कि लैला है कि तुम हो

इक दर्द का फैला हुआ सहरा है कि मैं हूँ
इक मौज में आया हुआ दरिया है कि तुम हो

वो वक़्त न आए कि दिल-ए-ज़ार भी सोचे
इस शहर में तन्हा कोई हम सा है कि तुम हो

आबाद हम आशुफ़्ता-सरों से नहीं मक़्तल
ये रस्म अभी शहर में ज़िंदा है कि तुम हो

ऐ जान-ए-'फ़राज़' इतनी भी तौफ़ीक़ किसे थी
हम को ग़म-ए-हस्ती भी गवारा है कि तुम हो

- Ahmad Faraz
7 Likes

Kashmir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Faraz

As you were reading Shayari by Ahmad Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Faraz

Similar Moods

As you were reading Kashmir Shayari Shayari