khair auron ne bhi chaaha to hai tujh sa hona
ye alag baat ki mumkin nahin aisa hona
dekhta aur na theharta to koi baat bhi thi
jis ne dekha hi nahin us se khafa kya hona
tujh se doori mein bhi khush rehta hoon pehle ki tarah
bas kisi waqt bura lagta hai tanhaa hona
yun meri yaad mein mahfooz hain tere khud-o-khaal
jis tarah dil mein kisi shay ki tamannaa hona
zindagi maarka-e-rooh-o-badan hai mushtaaq
ishq ke saath zaroori hai havas ka hona
ख़ैर औरों ने भी चाहा तो है तुझ सा होना
ये अलग बात कि मुमकिन नहीं ऐसा होना
देखता और न ठहरता तो कोई बात भी थी
जिस ने देखा ही नहीं उस से ख़फ़ा क्या होना
तुझ से दूरी में भी ख़ुश रहता हूँ पहले की तरह
बस किसी वक़्त बुरा लगता है तन्हा होना
यूँ मेरी याद में महफ़ूज़ हैं तेरे ख़द-ओ-ख़ाल
जिस तरह दिल में किसी शय की तमन्ना होना
ज़िंदगी मारका-ए-रूह-ओ-बदन है 'मुश्ताक़'
इश्क़ के साथ ज़रूरी है हवस का होना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Mushtaq
our suggestion based on Ahmad Mushtaq
As you were reading Life Shayari Shayari