kahoon kis se raat ka maajra naye manzaron pe nigaah thi | कहूँ किस से रात का माजरा नए मंज़रों पे निगाह थी

  - Ahmad Mushtaq

kahoon kis se raat ka maajra naye manzaron pe nigaah thi
na kisi ka daaman-e-chaak tha na kisi ki taraf-e-kulaah thi

kai chaand the sar-e-aasman ki chamak chamak ke palat gaye
na lahu mere hi jigar mein tha na tumhaari zulf siyaah thi

dil-e-kam-alam pe vo kaifiyat ki thehar sake na guzar sake
na hazar hi raahat-e-rooh tha na safar mein raamish raah thi

mere chaar-daang thi jalvaagar wahi lazzat-e-talb-e-sehr
magar ik ummeed-e-shikasta-par ki misaal-e-dard siyaah thi

vo jo raat mujh ko bade adab se salaam kar ke chala gaya
use kya khabar mere dil mein bhi kabhi aarzoo-e-gunah thi

कहूँ किस से रात का माजरा नए मंज़रों पे निगाह थी
न किसी का दामन-ए-चाक था न किसी की तर्फ़-ए-कुलाह थी

कई चाँद थे सर-ए-आसमाँ कि चमक चमक के पलट गए
न लहू मिरे ही जिगर में था न तुम्हारी ज़ुल्फ़ सियाह थी

दिल-ए-कम-अलम पे वो कैफ़ियत कि ठहर सके न गुज़र सके
न हज़र ही राहत-ए-रूह था न सफ़र में रामिश राह थी

मिरे चार-दांग थी जल्वागर वही लज़्ज़त-ए-तलब-ए-सहर
मगर इक उम्मीद-ए-शिकस्ता-पर कि मिसाल-ए-दर्द सियाह थी

वो जो रात मुझ को बड़े अदब से सलाम कर के चला गया
उसे क्या ख़बर मिरे दिल में भी कभी आरज़ू-ए-गुनाह थी

  - Ahmad Mushtaq

Good night Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Mushtaq

As you were reading Shayari by Ahmad Mushtaq

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Mushtaq

Similar Moods

As you were reading Good night Shayari Shayari