kahi ummeed si hai dil ke nihaan khaane mein | कहीं उम्मीद सी है दिल के निहाँ ख़ाने में

  - Ahmad Mushtaq

kahi ummeed si hai dil ke nihaan khaane mein
abhi kuchh waqt lagega use samjhaane mein

mausam-e-gul ho ki patjhad ho bala se apni
ham ki shaamil hain na khilne mein na murjhaane mein

ham se makhfi nahin kuchh rahguzar-e-shauq ka haal
ham ne ik umr guzaari hai hawa khaane mein

hai yoonhi ghoomte rahne ka maza hi kuchh aur
aisi lazzat na pahunchne mein na rah jaane mein

naye deewaanon ko dekhen to khushi hoti hai
ham bhi aise hi the jab aaye the veeraane mein

mausamon ka koi mehram ho to us se poocho
kitne patjhad abhi baaki hain bahaar aane mein

कहीं उम्मीद सी है दिल के निहाँ ख़ाने में
अभी कुछ वक़्त लगेगा उसे समझाने में

मौसम-ए-गुल हो कि पतझड़ हो बला से अपनी
हम कि शामिल हैं न खिलने में न मुरझाने में

हम से मख़्फ़ी नहीं कुछ रहगुज़र-ए-शौक़ का हाल
हम ने इक उम्र गुज़ारी है हवा खाने में

है यूँही घूमते रहने का मज़ा ही कुछ और
ऐसी लज़्ज़त न पहुँचने में न रह जाने में

नए दीवानों को देखें तो ख़ुशी होती है
हम भी ऐसे ही थे जब आए थे वीराने में

मौसमों का कोई महरम हो तो उस से पूछो
कितने पतझड़ अभी बाक़ी हैं बहार आने में

  - Ahmad Mushtaq

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Mushtaq

As you were reading Shayari by Ahmad Mushtaq

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Mushtaq

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari